Teray khyal ko — Urdu Poetry — Read Urdu and English poetry

Pages

Friday 20 July 2012

Teray khyal ko

  


Teray khyal ko



Teray khyal ko dil se kabi juda na karoon
teray bagair to main sans b liya na karoon

Jo tu mila to mujay mashwara diya dil ne
K ab khuda se koi aur iltaja na karoon

Mujay yakeen hay k sooraj kabi taloo na ho
Jo teray nam se main din ki ibtida na karoon

Wafa ki rahon main rakh to diya hay main ne kadam
Ab apni jaan b jaye to main gila na karoon

No comments:

Post a Comment