Kaha tha na — Love Urdu Poetry — Read Urdu and English poetry

Pages

Tuesday 14 August 2012

Kaha tha na



Kaha tha naa?
Humen aik khwab rehne do.
Bohat he shoq tha tum ko
Humara dil dukhane ka
Musalsal chott ki zad per
Humen taqseem karne ka
Humen mitti bana ker rait main Tajseem karne ka!
Chalo khush ho gaye na ab…?

Tumhen apna samajhne ki
Jo ghalti hum ne ki thi na.
Bohot hai ab.
Bohot takleef di hai duniya walon ne
Bohot he chott khai hai zamane se.!

Magar hum bhi ajab thay na.?
Kisi k chain ki khatir
Sukoon apna luta bethe
Kisi ki khwahishon ko ahem hum ne
Itna jaana k
Ghuroor apna mita bethe
Bohot nadan thay na hum.?

Chalo achha howa khush-fehmion ka
Silsila toota,
Thakan jo hai guzarte waqt k sang
Dhal he jaye gi.

Magar hum bhi ajab thay na.?
K hum to waqt k sang
Toot jaate hain magar
Torra nahi kerte
K hum ne bad-dua dena nahi seekha
Dua ye hai k tera samna na ho
Kisi k saath bhi mujh sa bura na ho.!

Bohot masoom thay na hum.?
Kaha tha na...?
Humen aik khwab rehne do.

No comments:

Post a Comment